Sunday, August 12, 2007

Independence day...

Hey... my first poem in hindi. N since it was the first one, it had to be on something that is very close to my heart... I am a proud Indian but I have my concerns... So this poem talks of love, love for my country.

Is swatantrata diwaz par,
Kitne hum aazad hue...
Ki aaj bhi hum darte hain,
Tere mere ko ladte hain.

Ye tera kya aur mera kya,
Arre rehem karo un sainikon par,
Jo sarhadon par marte hai ,
Ki humara ghar aabaad rahe...

Un topon ki ladai mein,
Un jismon ki katai mein,
Kitni jaanein gawai humne,
Kya kya keemat chukai humne...

Kisi ki ma pukarti rahi,
Kisi ki vadhu ne aansoo piye,
Kisi ke bachchon ka saya utha,
Kisi ka pyaar adhoora raha...

Is Do mulkon ki ladai mein,
Do bhai bhid gaye...
Koi mulk jeeta nahi,
Dono hi barbaad hue…

Koi mulk jeeta nahi,
Dono hi barbaad hue...
Is swatantrita diwaz par
Kitne hum aazad hue…

1 comment:

Ruchira ~~~ spellbound said...

hey really beautiful .......... i didnt knew u write so beautifully