Zindagi bhi ajeeb hai
Jab se hosh sambhala, bhag hi rahi hoon main
School mein marks ke peeche
College mein rank ke peeche
Aur MBA mein, naukri ke peeche…
Zingadi ki isi bhag daud se bahut kuch seekha hai maine…
Dekha hai bhichad kar pane ki khushi ko
Manzil ko choo jane ki khushi ko
Rooth kar maan jaane ki khushi ko
Door jaakar paas aane ki khushi ko
Hum sab ne kuch khokar kuch paaya hai
Aur kuch naya pane ke liye, bhag hi to rahe hain hum…
Par ab thak gayi hoon main.
Thak gayi hoon is bheed mein akela rehkar,
Wapas jaana chahti hoon.
Un raston par jo peeche choot gaye…
Un doston ke paas, jo dost the
Jab paise ka koi mol na tha
Jab koi haar jeet na thi
Jab khush rehne ki koshish nahi karni padti thi,
Dukhi hone ke liye abhi chote hi the hum…
Hasna seekha hi tha bhi,
Ki kanchon ki jagah sikkon ne le li…
Aaj paisa bolta hai.
Kabhi kabhi hum dab jaate hain,
Samajik niyamon ke neeche
Acha dikhne ki koshish mein
Hum kaun hain, humein yaad nahi
Yaad hai to ye ki samaj kya sochta hai
Kyon? Nahi rehna mujhe in galiyon mein
Jahan har cheez ki keemat lagayi jaati hai
Jahan sachayi ka koi mol nahi
Bas zinda hain
Aur jiye ja rahe hain…
Jab se hosh sambhala, bhag hi rahi hoon main
School mein marks ke peeche
College mein rank ke peeche
Aur MBA mein, naukri ke peeche…
Zingadi ki isi bhag daud se bahut kuch seekha hai maine…
Dekha hai bhichad kar pane ki khushi ko
Manzil ko choo jane ki khushi ko
Rooth kar maan jaane ki khushi ko
Door jaakar paas aane ki khushi ko
Hum sab ne kuch khokar kuch paaya hai
Aur kuch naya pane ke liye, bhag hi to rahe hain hum…
Par ab thak gayi hoon main.
Thak gayi hoon is bheed mein akela rehkar,
Wapas jaana chahti hoon.
Un raston par jo peeche choot gaye…
Un doston ke paas, jo dost the
Jab paise ka koi mol na tha
Jab koi haar jeet na thi
Jab khush rehne ki koshish nahi karni padti thi,
Dukhi hone ke liye abhi chote hi the hum…
Hasna seekha hi tha bhi,
Ki kanchon ki jagah sikkon ne le li…
Aaj paisa bolta hai.
Kabhi kabhi hum dab jaate hain,
Samajik niyamon ke neeche
Acha dikhne ki koshish mein
Hum kaun hain, humein yaad nahi
Yaad hai to ye ki samaj kya sochta hai
Kyon? Nahi rehna mujhe in galiyon mein
Jahan har cheez ki keemat lagayi jaati hai
Jahan sachayi ka koi mol nahi
Bas zinda hain
Aur jiye ja rahe hain…
Jahan sachayi ka koi mol nahi
Bas zinda hain
Aur jiye ja rahe hain...
p.s- Thanks for all the appreciation that I recieved for my first hindi poem. Hope you like this one as well.